Sunday 29 May 2016

Mere Qissy Sar-e-Bazar Uchaly Us Ne...

Mere Qissy Sar-e-Bazar Uchaly Us Ne...

Jis Ka Har Aib Zamany Se Chupaya Main Ne...

Wo bhi bahut akela hai shayad meri tarah

Lahron mein doobte rahe dariya nahin mila
Usse bichhad key phir koi waisa nahim mila

Kuchh log thodi der to achchhe lage magar
Ham jiske ho saken koi aisa nahin mila

Wo bhi bahut akela hai shayad meri tarah
Usko bhi koi chaahne wala nahin mila

Do chaar din to kitne sukun se guzar gaye
Sab khairiyat rahi koi apna nahin mila

Jo Pukarta Tha Har Ghari, Jo Jura Tha Mujh se Lari Lari

Jo Pukarta Tha Har Ghari, Jo Jura Tha Mujh se Lari Lari

Koi Aisa Shakhs Agar Kabhi, Mujhe Bhool Jaye To Kya Krun..

Ek chota gunaah mohabbat ka

Ek chota gunaah mohabbat ka 

Zindgii bharr hisaab leta hai !!!!!


Jo tum ikhlaas chaho to, Farishton se nibah kar lo,

Jo tum ikhlaas chaho to,
Farishton se nibah kar lo,
Main aadam ki nishani hon,
Mujhe insaan rehne do,

Tumhari keh-kashaaon mein,
Meri koi jagah kab thi,
Main ek ujrra jazeera hoon,
Mujhe veeran rehne do,

Jo hota hai wohi karna,
Na badlo rasm dunia ki,
Wo tum thy ya koi apna,
Mujhe hairaan rehne do,

Mera dil yoon shikasta hai,
Koi ujrra sa mandir ho,
Mujhe wehshat hai ronaq se,
Mujhe sunsan rehne do,

Khuda ke kaar-khaany mein,
Bura kuch bhi nahi hota,
Khudara hosh me aao,
Koi imkaan rehne do..

Abhi woh dard baqi hai ...

Abhi woh dard baqi hai ...
Agar'chey waqt marham hai
Magar kuch waqt lagta hai
Kisi ko bhool janay mein
Dobara dil basanay mein
Abhi kuch waqt lagna hai
Abhi woh dard baqi hai ...

Main kaise naii ulfat mein ?
Apni zaat ko gum kar doon
K mere jism o wajdaa'n mein
Abhi woh fard baqi hai ..
Abhi us shaks ki mujh par
nigah e sard baqi hai ..
Abhi to ishq k raston ki mujh par
Gard baqi hai ..
Abhi kuch waqt lagna hai
Abhi woh dard baqi hai ...!!!

Jb bhi dekha koi hasee'n chehra...

Shaam k waqt jaam yaad aaya...  
Kitna dilchasp kaam yaad aaya...   

Jb bhi dekha koi hasee'n chehra...  
Mujhko tera salaam yaad aaya...   

Sun k qisse KHUDA ki azmat k...  
Aadmi ka muqaam yaad aaya...   

Dekh kr jhoomtii ghataao'n ko...  
Unkii zulfo'n ka naam yaad aaya...   

Baansurii ki nava ko tezz karo...  
Aaj Radha ko Shyaam yaad aaya...   

Sehen-e-Masjid me bhi hme MOHSIN...  
Mai-kade ka qayaam yaad aaya...!!

Wo Shakhs Kabhi Eskaa Kabhi Uskaa Kabhi Meraa Huwa

Wo Shakhs Kabhi Eskaa 
Kabhi Uskaa 
Kabhi Meraa Huwa 

Husun barbaad Kar Diya Usne ,
Muhabbat Ke Tijarat Karte Karte 

Bas Charago ko bhojana tha chale Jana tha.

Bas Charago ko bhojana tha chale Jana tha.
Neend me sara zamana tha chale Jana tha.

Phir Kisi helay bahane ki zarorat hi na thi.
Tum ne gar chor k Jana tha chale Jana tha.

Ye hai duniya yahan har morr pr dil totta hai.
Dil k tokro ko Urbana tha chale Jana tha.

Aane wale to yahan lakhon karorro aaye.
Sab ka bas ek fasana tha chale Jana tha.

Apne bad.khaho se larrte nahi A jane gazal.
In se bas picha chorana tha chale Jana tha.

Mohabbato'n pe bht eitmaad kya karna...??

Mohabbato'n pe bht eitmaad kya karna...?? 
Bhula chuke hain use phir se yaad kya karna...??  

Wo be-wafa hi sahi us pe tohmate'n kaisi...?? 
Zara si baat pe itna fasaad kya karna...??   

Mukhalifo'n se to mumkin hai dosti apni...  
Munafiqo'n se mgr ittihaad kya karna...??   

Nigaah me jo utarta hai dil se Q utre...?? 
Dil-o-nigaah me paida tazaad kya karna...??  

Main isliye use ab tkk na chhoo saka MOHSIN...  
Wo aaina hai use sang-zaad kya karna...??

Thursday 26 May 2016

Zara Yaad Kar Mere Hum Nafaz Mera dil jo tum pe nisar tha

Zara Yaad Kar
Mere Humnafas
Mera dil jo tum pe nisar tha.

Wo dara dara sa jo piyar tha
Tere shokh qadmo ki dhool thi
Tera dil bhi beqarar tha
Zara yaad kar
Mere Humnafas.

Tere jaisa mera bhi Haal tha na Sakoon tha na Qarar tha
Yahi umer thi mere hum nasheen keh kisi se mujh ko bhi Pyar tha.

Mein samajh raha hon teri kasak tera mera dard hai mushtarak
Isi gham ka tu bhi aseer hai isi dukh ka mein bhi Shikar tha.

Faqat aik dhun thi k Raat Din isi khawab zaad mein gum rahain
Woh Sarwar aisa Sarwar tha woh Khumar aisa Khumar tha.

Kabhi lamha bhar ki bhi Guftagoo meri is ke sath na ho saki
Mujhe fursatein nahi mil sakein woh hawa k rut pay sawar tha.

Hum ajeeb tarz ke log the k hamare aur bhi rog the
Mein khazan mein is ka tha muntazar ise Intezar Bahar tha.

Ese parh k tum na samajh sake k meri kitab k roop mein
Koi qarz tha kayi saal ka kayi rutjagon ka udhar tha.

Monday 23 May 2016

Hasrat Se Dekhty Rahay Maazi Ko Is Tarah,

Hasrat Se Dekhty Rahay Maazi Ko Is Tarah,

Jaisy k Laot Aiengay Jo Din Guzar Gaye.

Friday 20 May 2016

Ham apni ruh tere jism mein chor aaye hain.

Ham apni ruh tere jism mein chor aaye hain.

Tujhe gale se lagana to aik bahana tha..!

Siyah raat main jalty hain jugno'oon ki tarha

Siyah raat main jalty hain jugno'oon ki tarha

Dillon k zakhm bhi mohsin kamal hotay hain

Har nafas dard k saanche me dhala ho jaise...

Har nafas dard k saanche me dhala ho jaise... 
Zeestt na-karda gunaaho'n ki saza ho jaise... 

Le gyii yun mujhe khwaabo'n k jazeero'n ki taraf... 
Nikhat-e-gul tere aanchal ki hawa ho jaise... 

Zulmat-e-shaam-e-alam mujhse gurezaa'n hai abhii... 
Ek sitaara meri palko'n me chhipa ho jaise... 

Teri zulfe'n bhi pareshaa'n hain mere dil ki tarah... 
Tu bhi kuchh der mere sath raha ho jaise... 

Main tere saaye se bach-bach k chala hun aksar... 
Meri manzil,, teri manzil se juda ho jaise... 

Phool maango to ataa krte hain zakhmo'n k kanwal... 
Ab yehii shewa-e-arbaab-e-wafa ho jaise... 

Chaandnii apne taqaddus pe hai naaza'n itnii... 
Maryam-e-shab ki siyaah-posh ridaa ho jaise... 

Aaj phir unse mulaqaat hui hai MOHSIN... 
Aaj phir dil pe koi zakhm laga ho jaise....!!

Main zamaane ki riwaayat ka numaainda nhii...

Main zamaane ki riwaayat ka numaainda nhii... 
Meri duniya me koi amroz-o-aainda nhii... 

Tu bhi apne jurm ki taazeer pe hairat na kar... 
Main bhi apne ghar ki barbaadii pe sharminda nhii... 

Main to uske dil ki dhadkan ban gaya hun baaraha... 
Wo hareef-e-jaa'n samajhta hai k main zinda nhii... 

Ya hawaa-e-deher me pinhaa hai toofaano ka zor... 
Ya faseel-e-jism k aasaar paainda nhii... 

Aansuo'n ki leher me behta hua motii to hun... 
Kya hua gar aapki soorat me taabinda nhii...?? 

Shukr hai raas aa gaya mujhko qanaa'at ka jahaa'n... 
Shukr hai main Qasr-e-Sultaanii ka kaarinda nhii... 

Yun mere ahbaab milte hain mujhe MOHSIN yahan... 
Jaise main is sheher-e-naa-pursaa'n ka baashinda nhii....!!

Jab se suna hai qabr ma aayein ge Murtaza a.s.

Jab se suna hai qabr ma aayein ge Murtaza a.s.

Mohsin dua hayaat ki krna hi chorr di

Tar hue khoo'n me,, kbhii khaak pehen kr aaye..

Tar hue khoo'n me,, kbhii khaak pehen kr aaye...  
Hm hmesha nayii poshaak pehen kr aaye...  

Ek ajab rang se nikla wo sar-e-raah k log...  
Jism pr deeda-e-bebaak pehen kr aaye...  

Hmne sadiyo'n ki hathelii pe rakhii hain aankhe'n...  
Koi lamha tera idraak pehen kr aaye...  

Saaneha kon sa guzra hai saba se poochho...  
Chandd jhonke khas-o-khashaak pehen kr aaye...  

Zakhm ko zidd thi maseehayii se ab k warna...  
Harff-e-marham kayii chaalaak pehen kr aaye...  

Aaj milna tha use zakhm chhupa kr MOHSIN...  
Hm magar jaama-e-sad-chaak pehen kr aaye...!!

Bohat Udaas Na Ho Shaam-e-Be-Chiraag K Hum !

Bohat Udaas Na Ho Shaam-e-Be-Chiraag K Hum !

Sehar Ki Roshniyan Chasham-e-Tar Main Rakhty Hain..........!!

Ye Or Bat, K Adalat Hai Be-Khabar Warna

Ye Or Bat, K Adalat Hai Be-Khabar Warna 
Tamam Sheher Main Charcha Mere Beyan Ka Hai 

Asar Dikha Na Saka Us K Dil Main Ashk Mera 
Ye Teer Bhi Kisi Tooti Hoi Kaman Ka Hai 

Qafas To Khair Muqadar Main Tha Magar Mohsin 
Hawa Main Shor Abhi Tak Meri Uran Ka Hai��.!!

Maine jab yaad kiya,, yaad wo aaya MOHSIN...

Maine jab yaad kiya,, yaad wo aaya MOHSIN... 

Isse zyada use paband-e-wafa kya karna...?? 

Shaam k waqt jaam yaad aaya...

Shaam k waqt jaam yaad aaya...  
Kitna dilchasp kaam yaad aaya...   

Jb bhi dekha koi hasee'n chehra...  
Mujhko tera salaam yaad aaya...   

Sun k qisse KHUDA ki azmat k...  
Aadmi ka muqaam yaad aaya...   

Dekh kr jhoomtii ghataao'n ko...  
Unkii zulfo'n ka naam yaad aaya...   

Baansurii ki nava ko tezz karo...  
Aaj Radha ko Shyaam yaad aaya...   

Sehen-e-Masjid me bhi hme MOHSIN...  
Mai-kade ka qayaam yaad aaya...!!

Thursday 19 May 2016

Barish Ghazals In Urdu Sad Rain Poetry

Barish Ghazals In Urdu, Sad Rain Poetry, Rain Poetry Sms In Urdu, Rain Poetry In English, Happy Rain Sms In URdu, New Rain Poetry, Barish Ghazals In Urdu With Photos New Barish Ghazals In Urdu,
Iss Bheege Bheege Mosam Mein Thi Aass Tumhare Aane Ki

Iss Bheege Bheege Mosam Mein Thi Aass Tumhare Aane Ki,

 Tum ko Agar Fursat Hi Nahi Tu Aag Lage Barsaton Ko...!










Ghani Khan, Da Ghani Khan Khkuli Shairy, Pashto Poetry, Da Ghani khan Kalam,

Badshahi da jehan sa kre, Zan la wali zyate gham Da insaf talal mushkil di, Sa ba krri sa ba kam, Raba mala ka de rakra, Badshahi da kul jehan Za bai oghorzom da kora, Laka khawre pa deran, Mala rakra so guluna, Yao Niazbin ghundi janan Yao waroke ghunde baagh, Aow pa khwa ki sin rawan, Che ye za nast yama pa ghaha, Pa yakh sori da kharrwali Pa maza maza likama, Da maze maze ghazale, Kala swal minat janan ta, Kala bad aow raad mula ta Kala kala ta na Raba, Da warro pashan gile, Kala todd jwanday umeed, Kala Sawi Aswili Kala tang kala takor, Kala jaam kala dildar.

2 Lines Shayari and poetry New collection











2 Lines poetry in Urdu, New 2 Lines poetry Wallpaper HD Images, 2 Lines poetry For Facebook, 2 Lines Sad poetry, 2 Lines Romantic poetry,Love Poetry, Urdu freind Lovel poetry, urdu sad love girl image Pictures shayari. ghazal Urdu sad poetry is really sad ghazal poetry written in Urdu poetry sad poetry ghazal language. 2 Lines urdu love poetry 2 line urdu love shayari Friend's Lovely Photo Poetry, sad love quotes in urdu Urdu freind Lovel poetry,

Wafa Sad Urdu Poetry With Images

Wafa Urdu Sad Poetry Collection,Wafa Sad Urdu Poetry Collection,Wafa Urdu Poetry Sad Collection,Wafa Sad Urdu Poetry Photos Wafa Urdu Sad Poetry Photos Collection,Wafa Urdu Sad Poetry in Urdu Collection,Wafa Sad Urdu Poetry in Urdu Collection,Wafa Sad Poetry Urdu,Wafa Sad Poetry Photos in urdu,Wafa Poetry urdu Sad,Wafa Poetry in urdu Sad,Wafa most Sad urdu Poetry,Wafa Sad Poetry in Urdu,very Sad urdu Poetry on Wafa,Wafa Sad urdu Poetry in hindi,Wafa Sad Poetry in urdu Photos,Wafa very Sad Poetry in Urdu,Wafa Poetry Sad Urdu,Wafa Sad Urdu Photos Poetry Sad Photos Urdu Poetry,Wafa Sad Photos Poetry in Urdu,Wafa Urdu Love Poetry,Wafa Love Urdu Poetry,Wafa Urdu Poetry Love,Wafa Urdu Love Poetry Photos,Wafa Urdu Poetry on Love,Wafa Love Urdu Poetry Photos,Wafa Urdu Love Poetry in Urdu,Love Poetry in Urdu,Love Poetry Urdu,Urdu Love Poetry in english,Urdu Wallpapers Poetry Love,Wafa Urdu Poetry in Urdu Love,Wafa Love Wallpapers Urdu Poetry,Wafa Lovely Urdu Poetry,Wafa Urdu Poetry for Love,Wafa Urdu Poetry Wallpapers in Urdu Love,Wafa Sad Love Poetry in Urdu,Wafa Poetry Urdu Love,Wafa Poetry in Urdu about Love,Poetry of Love in Urdu,WafaSad Love Urdu Poetry,Wafa Urdu Poetry Love Poetry,Wafa Urdu Poetry of Love,Wafa Lovely Poetry in Urdu,Wafa Love Poetry Wallpapers in Urdu,Wafa Urdu Love Poetry blog,Wafa Wallpapers Poetry in Urdu Love,Wafa Urdu loving Poetry,Wafa Urdu Lovely Poetry Collection,Wafa Poetry in Urdu Love,Wafa Urdu Love Poetry Pics,Wafa loving Urdu Poetry,Wafa Love Poetry in Urdu Pics,Wafa Urdu Sad Love Poetry,Wafa Urdu Poetry Love in english,Wafa Urdu Love Poetry Collection,Wafa Urdu Poetry about Love in english,Wafa Urdu Poetry Collection for Lovers,Wafa Love Poetry Urdu Pics,Wafa loving Poetry in Urdu,Wafa Urdu Love Poetry Pics free,Wafa Urdu Sad Poetry,Wafa Sad Urdu Poetry,Wafa Urdu Poetry Sad ,Wafa Sad Urdu Poetry Pics,